Badi masoom si khwahish hai is dil ki
Ye pyaar bhi karna chahta hai
Aur khush bhi rehna chahta hai
Yeh chahta bhi hai rishton ko nibhana
Par na thokar khana chahta hai
Aur na rokar jana chahta hai
Ye sath bhi deta hai
Apne jazbaat bhi deta hai
Doobe jo rishton ki naiya
To badhkar hath bhi deta hai
Ye samajhta bhi hai
Aur samjhaata bhi hai
Roothe jo koi
To manata bhi hai
Par phir bhi na jane
Kyu reh jata hai akela
Samete apni khwahish ko
Ankahi har farmaish ko
Bas ek choti si to zid ki thi
Mera hath pakad kar chalte tum
Mayus jo hota ek pal ko
Seene se jakad kar bharte tum
Aur karte na jo fikr meri
Man rakhne bhar ko keh dete
Ki dil me basa k rakhte hain
Seene se laga kar rakhte hain
Khush ho lete itne mein
Kabhi jyada na manga tumse
Dost ki hi darkar thi tumse
Koi vaada na manga tumse
Itna sa tum na kar paye
Ab tumse aur mai kya mangu
Bas masoom si khwahish rehti hai
Ashkon ki numaish rehti hai
Par aaj ae dil tu kyun roya
Jo kabhi tha na tera, use kya khoya
No comments:
Post a Comment