Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga


 Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga,

Tere kushi k liye duniya se lad jaunga,

Jis raaste ki tu manzil no ho us raste ko mood jayunga,

Jo faisla na ho tere haq mein usse aaj mein tod jayunga,

Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga,

Teri aankon mein agar dikhe kabhi aansu to,

Un aansun ko aankhon mein aapni bhar k door tujse mein kar jayunga,

Teri raah mein aaye agar kaante to,

Unhe aapne daaman mein samet kar teri raah foolon se bhar jayunga,

Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga,

Tujhe pasand na aaya gar mera yah payar to,

Ek khwaab ki tarah teri zindagi se mein chala jaunga,

Tujhe yaad aaye ya na aaye meri sanam,

Par yeh bhi mumkin nahin k mein tujhe bhul jayunga,

Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga,

Zarurat padi payar mein agar qurbaani ki to,

Yeh shart bhi tujse pehle mein poori kar jayunga,

Is qadar chahat hai teri ki agar tu maang le mujse jaan bhi,

To haste haste yeh jaan bhi mere sanam tere naam kar jayunga,

Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga. 


A√N

Meri JAAN jane lagi hai


 Meri JAAN jane lagi hai,

Tu baaten chupane lagi hai,

mujse doori tu badhane lagi hai,

Meri JAAN jane lagi hai,

Shayad kisi or ka sang tujhe raas aa gaya hai,

Isliye aab tu mujhe bhool jane lagi hai,

Meri JAAN jane lagi hai,

Tu to is zamane si zalim na thi,

Fir kyun mere pyar ko tu aajmane lagi hai,

Meri JAAN jane lagi hai,

E-Shaaz kya pyar itna bedum tha tera,

K tujhe gairon se iski mout ki khabr aane lagi hai,

Meri JAAN jane lagi hai,

Pehle to tu aawaj de k bulati thi mujhe,

Aab tu mujhse door jane k bahane banane lagi hai,

Meri JAAN jane lagi hai,

Tujhe dil mein bithaya tha,Palkon mein chupaya tha,

Meri to jaan thi tu haan shayad issi liye,

Meri JAAN jane lagi hai,

Kabhi jaam ka naam na tha zubaan-E-Shaaz par,

Or aaj teri yaad Khud-B-Khud jaam uthwane lagi hai,

Meri JAAN jane lagi hai,

Kyan kahun kaise kahun kya reh gayi hai zindagn tere bin,

Tu aaja lout kar waapas meri zindagi mein,

aab to yahi sada har taraf se aane lagi hai,

Fir na kehna tu bhi kabhi k,

Meri JAAN jane lagi hai.


A√N

Wo pagli si diwani si, sapno me mere aati hai


 Wo pagli si diwani si, sapno me mere aati hai,

Aahat uski, jaise dil me hulchul si kar jati hai,

jhuki nazar uski, jaise mujhko pagal kar jati hai,

Wo pagli si diwani si, sapno me mere aati hai. Aaina hai

Uski nazrein, jo sabkuchh batlati hai, wo hai pagal,

jo dil ko jhuta batlati hai, lagti hai pyari,

jab khud hi wo sharmati hai,

Wo pagli si diwani si, sapno me mere aati hai. Kehta hai

jamana ki, wo pagal hai, Be-wajah, jab-jab wo mushkurati hai,

jamane ko kya pta, ki wo mujhse kyun sharmati hai,

Wo pagli si diwani si, sapno me mere aati hai.

Jab aankhein meri madhosh chehre se uske, milkar aati hai,

Kash wo samajh pati ki, kitna wo mujhko tadpati hai,

Kho gya hu mujhse me, na neend mujhko ab aati hai,

Wo pagli si diwani si, sapno me mere aati hai.

Hai wo thodi ajnabi si, har raat khbabbon mein aati hai


 Hai wo thodi ajnabi si, har raat khbabbon mein aati hai

Ji bhr k dekhna chahta hu use,uff ye raat gujar jati hai

Kuch khana chahta hu usse , baat hothon tak ruk jati hai

Wo aankhon me dekh kar mere dil ki bat smajh jati hai

Samjh kar dil ki baaton ko, labzon ka intezar karti hai

Nadan itna bhi nai samjhti,labz nahi aankhe byan krti hai

Maine izhar bhi nai kiya usse,maine ekrar bhi nai kiya usse

Pyar to bhut dur ki baat hai,usne enkar bhi nai kiya mujse

Dil chahta hai use bahon me bhar lu dil chahta hai

Uske hothon ko chum lu dil chahta hai

Es raat ko yahi rok du,dil chahta hai

Es pal ko kabhi khone na du....I....you

Aisi apni Wife ho..... ๐Ÿ‘‰ ๐Ÿ’ƒ


 5'4 jiski height ho, 

Chehra jiska bright ho, 


Weight mein thori light Ho, 

Umer mein difference slight ho, 


Thori see wo quiet ho, 

Tu memorable her ek night ho~ 


Aisi apni Wife ho.................. 


Saas ki khidmat jiski khwahish ho 

Beauty multiply by Twice ho, 

mom dad ki choice ho, 


Aisi apni Wife ho.................. 


Padosi jab baat kare tu, 

haath me uskay knife ho. 

Dinner candle light ho, 

Tu Delecious har ek Bite ho, 

Dono mein na kabhi fight ho, 

Milne k baad dil delight ho.. 


Aisi apni Wife ho.................. 


Ankhain uski jaisay...sunny Twilight ho! 

Honton ko dekh ker lagay...jaisay coke diet ho 

Jab saari pehn k niklay tu kya sight ho, 

Aisa lagay jaisay switzerland ki flight ho, 

Favourite colour white ho, 

make-up thora light ho 

Zulfain Dynamite hoon.. 

Basant mein jaisay ur rahi koi kite ho ! 


Aisi apni Wife ho.................. 


Kaash yeh concept 100% right ho 

agar aisi apni wife ho 

tu kya haseen life ho 

Batoon mein garmaish ho 

har kisi ki yahi farmaish ho 

kudrat ki bhi aazmaish ho 

Defense ki rehaaish ho, 

Kise ki bhi na look-a-like ho, 


Aisi apni Wife ho.................. 

Aisi apni Wife ho..................

Es Mohabat Ke Rishte Ko Nibha Jao Kisi Din

,


Jo Mil Jaye Kabhi Fursat To Paas Aa Jao Kisi Din,


Milta Hai Sbhi Kuch Sbhi Ko Ye Suna Hai,


Mujh Ko To Faqat Tum Hi Mil Jao Kisi Din,


Barso Se Ye Dil Mera Khali Hi Pada Hai,


Tum Apne Naam Ki Takhti Hi Laga Jao Kisi Din,


Mohabt Ke Naam Ko Kis Tarha Basya Jata Hai Apni Sanso Me,


Mujko Bhi Hunar Aisa Sikha Jao Kisi Din,


Muqdar Me Jo Ho To Wo Kabhi Badlta Nai,


Fursat Mile To Dil Ko Ye Samjha Jao Kisi Din.

 

Badi masoom si khwahish hai is dil ki ❤️

Badi masoom si khwahish hai is dil ki
Ye pyaar bhi karna chahta hai
Aur khush bhi rehna chahta hai
Yeh chahta bhi hai rishton ko nibhana
Par na thokar khana chahta hai
Aur na rokar jana chahta hai

Ye sath bhi deta hai
Apne jazbaat bhi deta hai
Doobe jo rishton ki naiya
To badhkar hath bhi deta hai

Ye samajhta bhi hai
Aur samjhaata bhi hai
Roothe jo koi
To manata bhi hai

Par phir bhi na jane
Kyu reh jata hai akela
Samete apni khwahish ko
Ankahi har farmaish ko

Bas ek choti si to zid ki thi
Mera hath pakad kar chalte tum
Mayus jo hota ek pal ko
Seene se jakad kar bharte tum

Aur karte na jo fikr meri
Man rakhne bhar ko keh dete
Ki dil me basa k rakhte hain
Seene se laga kar rakhte hain

Khush ho lete itne mein
Kabhi jyada na manga tumse
Dost ki hi darkar thi tumse
Koi vaada na manga tumse

Itna sa tum na kar paye
Ab tumse aur mai kya mangu
Bas masoom si khwahish rehti hai
Ashkon ki numaish rehti hai

Par aaj ae dil tu kyun roya
Jo kabhi tha na tera, use kya khoya

HASIL KARKE TO HAR KOI PYAR KAR SAKTA HAI

 

1 ladka 1 ladki ko bahut pyar karta tha

1 Din wo himmat kar ke uss ke pass gya aur bola :-

Boy :- Hi

Girl :-Hi

Boy :- How are you?

Girl :- I m fine and u ?

Boy :- Me too F9 Mujhe tumse kuchh kehna tha

Girl :- Haan Bolo

Boy:-I like u do u like me

Girl:- no. no

Boy:- I Love You Very Much. You are My World.

Girl :- sorry I hate u Ladka Rone lagta hai aur wahan se chala jaata hai Ladki Use Ignore Karke 2 dino baad Study ke liye wahan se door Chali jaati hai .

Ladka Uski Yaad me man hi man mein udaas Rahne laga par duniya ke samne joothi muskan liye man hi man me us ladki ki yad mein hi rahata tha 24 Hours us ladki ki yaado mein duba rehta hai 1 Din uska friend uske ghar aata hai Jab use maloom hua ki uske friend ke haalat us ladki ki wajah se hui to usne usse puchha

Friend :-"Jab Wo Tumhe Pyar Nahi Karti to tum use kyu pyar karta ho? Tumhe aur koi chahne wali mil jaayegi. Tab Ladke Ne Jo Answer Diya Usse uski frnd Ki aankhe niche ho gayi Ladke Ne Bola :- "HASIL KARKE TO HAR KOI PYAR KAR SAKTA HAI MAGAR KHOKAR BHI KISI KO CHAHNA HI ASLI PYAR HAI''

I miss you....



“Mere Paas Laut Aana” Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye, Or Kuch Saaf Nazar Na Aaye, To Darna Mat “Mere Paas Laut Aana”. Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye, Or Tumhe Raasta Na Mil Paaye, To Udaas Mat Hona “Mere Paas Laut Aana”. Jab Saans Ki Dori Toote, Or Koi Apna Tumhe Loote, To Maayoos Mat Hona “Mere Paas Laut Aana”. Jab Dil Tumhara Toote, Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote, To Aansu Mat Bahana “Meri Paas Laut Aana”. Apni Khushi Se Chor Ke Gaye Ho Tum, Mere Jazbat,Pyar,AitbarKo Tod Ke Gaye Ho Tum, Phir Bhi Meri Yaad Agar Aaye, Or Aankhen Tumhari Bhar Aaye, To Sharmindah Mat Hona “Mere Paas Laut Aana”. Bas Itna Kehna Chahta Hoon, Ke Hamesha Intizar Karunga, Is Kayenat Se Zyada Pyar Karunga, Magar Jab Tumhe Meri Yaad Aaye, To Rukna Mat “Mere Paas Laut Aana ”. Jab Kabhi Tumhe Meri Yaad Aaye,To Rukna Mat “Mere Pass Lout Aana”. Zindagi Ka Kuch Waqt Guzaara Hai Saath Tumhare, Wo Waqt Kabhi Tume Yaad Aaa Jaaye, To Rukna mat “Mere pass Lout Aana”. Jab Pehli Baar Mile The Hum, Ek Pal Main Dost Ban Gaye The Hum, Wo Pal Agar Tume Kabhi Yaad Aaa Jaaye, Aur Dil Ki Dhadkan Tez Ho Jaaye, To Rukna mat “Mere Pass Laut Aana”. Log Aksar Saath Nahi Dete Hein, Dil Waalo’n Ka,Paas Reh Kar Agar Koi Saath Na De, To Rukna mat “Mere Pass Laut Aana”. Aaj Naa Jaane Kyo Teri Itni Yaad Aaa Rahi Hai, Agar Is Paigaam Par Teri Nazar Pad Jaaye, To Rukna mat “Mere pass Laut Aana”

Ek Tera Hi Khyal Aata Hai

Ise nazariya kahe ya kalpna ya soch ye sb ek hi jaise h jo koi insaan jaisa sochta h uska nazariya hota h ya kalpna krta h sb ek hi hota h jo uske dil dimag me chlte rhta sochta h kalpna krta h ya uska nazariya ye story ek ladka or ladki ki h jo apne apne Nazariye kalpna me khoye hote h or jaise sb kuchh bhula kr

 
Sirf apne imagination me chle jaate h wo dono ek dusre aise mil jaate jaise wo ek hi ho wo apne pyaar me is tarah doob jaate itni geharai me ek pal ke lie upper aana b mumkin na ho apne pyaar me itna diwanapan junoon ki sb kuchh bhul jana or apne hi baato me kho jana jaise wo dono kisi or dunia me chle gye sirf wo dono ek dusre se baate krte rhte unke har word me pyaar ho wo apne baat krte huye  kahi door chle jaate kisi jagh jaha koi na ho wo dono akele kisi jheel ke pas baithe pedh ke niche wo dono baithe ek dusre se baat krte huye ladka ladki

Se khta h wo bhut khubsurat h uski taarif krte huye ladka us chand dekhte huye khta h tum us chand k tarah khubsurt jiski taariff puri dunia krti aise dono baat krte huye apne dil k baat krte hua yu hi baithe rhte ek dusre me khoye rhte ek dusre ki aankho me dekhte huye…

.

เคฆिเคฒ เคฎें เคคेเคฐे เคฒिเค เค‡เคคเคจी เคœเค—เคน เคฌเคจ เค—เคˆ๐Ÿ’๐Ÿ’

เคฆिเคฒ เคฎें เคคेเคฐे เคฒिเค เค‡เคคเคจी เคœเค—เคน เคฌเคจ เค—เคˆ เคคेเคฐे เคฎเคจ เค•ी เคนเคฐ เค›ोเคŸी เคธी เคšाเคน เคฎेเคฐे เคœीเคจे เค•ी เคตเคœเคน เคฌเคจ เค—เคฏी